From the recording Re-joice
Drums: SC * Bass: Tapiwa J Shoko * Guitars: A * Vocals: Jaison Jacob
Lyrics
Sambhal dil aur dimaag
Sambhal dil aur dimaag
Aur bhaavna tu dikha
Tere andar hai kya
Hai tujhe le chalne wala
Dekhne itne saare screens
Jo kehta tu kya cheez
Signal band kar de
Aur behtar rasta dhundle
Bas chale Jaa tu
Apna raasta khoj
Na hoga asaan
Toh shuru kar aaj
Sambhal aankh aur kaan
Logo ko tu bata
Tere liye kya bura
Unke liye bhi hai bura
In sare shabdon ko sun
Yeh saare gaano ke
Kya voh keh rahe hai
Jo tujhe karna nahi hai
Kya bech rahe hai vo?
Kya khareed raha hai tu?
Kya vo layak hai?
Ya behtar nahi?
Pata chalega yeh
Shortcut kaam nahi karte
jitna samay chahe le
Raste ke moolya ko tu dekh
Sambhaal dil aur dimaag
Prabhu ki prarthna kar
Ek kadam se pehle
Dekh raah me aur kya hai
Tu kya chun raha hai?
Tu kya kho raha hai?
Kya vo layak hai?
Kya tu chahta hai?